Friday 28 October 2011

Rango ka sammohan




Rang kya kehta hain , jab jeevanke suruati daur mein rang ki utpatti hui thi kaisa wo dikhta hoga. Kya wo aaj ki tarah hi dikhta hoga. Itne abhinn rang aur har rang ki kuch kahani hain. Aakhir rango se humein kya milta hain. Prakash ka wo ujala rango ke Milan se banta hain jo shristidayi hain. Rango mein basa hain jeevan aur jeevan mein basa hain rang. Jeevan ke har rangeen lamho ko sfurti deta hain rang .
Rangheen jeevan wo khali bartan hain jisme kuch bhi nahin. Kya rango ki kuch simayen hain? Haan hain

Kyunki har rang kuch kehta hain. Jaise hara rang hariyali ka prateek hain usi tarh bhin rango ka bibhin arth hota hain.  saat rang milkar indradhanush banate hain. Rango ka gyaan bhi prachin yug se chala aa raha hain jaise narangi rang gyaan ka prateek hain , laal rang khoon ka prateek hain. Manushya ne har rang ko kisi na kisi roop se khood ko jor liya hain. Mistra ke pharaoh ka pasindida rang surya ka prakash tha jiski wo pooja karta tha.  Inka sabhyata ke manushya sunhare chamak wale sone ke sikko ki sunhare rango ke kayal the. Jo unke vinaash ka kaaran bhi ban gayi.

 Rango ke prati manushya ka ek adbhut akarshan hain. Jo manushya ke udhbhav kaal se shuru hota chala aaya hain. Jaise agni ka rang arthat narangi bhi gyaan ka prateek hain kyuki isi se manushya ki sabhyata ki shuruat hui thi. Manushya ne aag se hi sabhyata ki niv rakhi thi. Aag se manushya  ne pehli baar bhojan pakaya tha jo aage chalkar uske sarvpratham mahan avishkar hain.  Hindu dharm ke mahan gyaata swami vivekanand ne bhi narangi rang ko apne vastra me dharan kiya tha kyunki narangi rang gyaan ka prateek hain.