Friday 28 October 2011

Jeevan darshan aur jeevet rehne ka darshan



Kisi jeevan ki suruat hoti hain phir uska ant. Aur in do beech ke bindu mein jeevan ks sampurn dhaacha tayar hota hain. Iski shuruat usi samy suru ho jaati hain jab shristi us shrishti ko janm deti hain jo dusri shrishti ko janm deti hain. Arthart shrishti ka aarambh ek manushya arthart purush ke sarir mein janm le chukka hota hain. Ye shrishti ardh shakti hoti hain kyunki iska koi mulya nahin hota jab tak ki use puri shakti na mile arthart nari shakti. Ye do shakti jab purn roop se ek aise shakti ka roop leti hain use hum  jeevan kehte hain jo kisi roop mein bhi ho sakti hain. Ye shakti nari tatv bhi ho sakta hain aur purush tatb bhi aur ek roop isme wo bhi hota hain jse hum ek aisi yoni ka naam dete hain jo nari aur purush ka mila jula roop hota hain.


Jeevan ka har e k khand apna adhya likhta hain jo uski apni ek anokhi kitabh hoti hain. Is kitab mein manushya sampurnta hasil karta hain kyunki wo kitabh kisi aur ki nahi ho sakti har manushya ke jeevan ki kitab uski apni hoti hain. Jo manushya chunta nahin hain.
Kisi manushya ka jeevan mein teen kaal aate hain balya, yovan aur budhapa. Ye teeno kaal uske sharer ke alankar hote hain jo dheere dheere ghatte hain. Jeevan ka ye alankar anek anubhavo ka mishran hain.
Ye anubhav har insaan ki apni anubhuti hoti hain jo har insaan ki alag alag hoti hain in anubhutiyon ki baarekta hi uska jeevan darshan hain. Jeevan ka darshan ya jeevit rehne ka darshan dono prithak hain.

Jeevit rahne ke darshan mein sirf manushya jeeta hain aur jeene ke liye wo kuch bhi karta hain. Aur jeevan darshan mein manushya jeeta bhi hain bahri jeevan ka bhi darsh bhi karta hain aur swayam ko bhi talashta hain. Jeevit rehne ke darshan mein manushya swayam ko bhool jaata hain. Wo apni khoobion ko bhool jaata hain kyunki use dhan uparjan karna hota hain pet chalane ke liye. Jaise ek bacha nritya sikhta hain ya gayaki sikhta hain par baad mein use wo tyaag karna parta hain kyunki use dusre gyaan lena parta hain dhan uparjan karne ke liye. Is tarah jeevan darshan aur jevit rahne ke darshan do prithak jeevan ke mulya hain. Aajkal ke byabharik jeevan mein jeveet rahne ka darshan jyaada prachalit hain. Saaransh mein sirf itna hi kehna chahoongi sansar mein dono darshan hi mahatvapurna hain bas dono mein se kiska chayan manushya ko karna chayiye wo uske apne gyaan aur apni kabiliyat pe nirbhar karta hain.