Tuesday 21 February 2012

Rekhao ka rehasya


Rekhayen behed mahatvapurn hoti hain jeevan ke liye par kuch haath ki rekhaon ki utpatti ne ithihaas mein amit chap chor di hain. yeh rekha behad prachintam kaal se manushya ko ascharya ka roop de rahi hain . Isi tarah ki ek adbhut rekha haath mein utpan hoti hain wo hain antargyaan rekha jo jab kisi manushya ke haath mein dikhti hain to use adbhoot shakti deti hain jo use waisi yogyata deti hain jisse wo bhavishya ko jaan sake kuch sapno ko dekhkar kuch chihno ko dekhkar.

Humne itihaas mein bhi is rekha ki shakti ko dekha hain jo kitne hi mahan bicharako ke haato mein payi gayi jaise jesus christ , Elijah ,elisha. In sabhi mein ye rekha thi.

Yeh teeno byakti asal mein dharmguru baad mein bane pehle to wo ek naye bichar ke malik bane jo baad mein anya manushyo ne bhi jiska anukaran kiya pehle to unhe tibra birodh ka samna karna para kuch ko to suli mein bhi latka diya gaya par akhir unke bicharo ko kuch saalo baad swikriti mil hi gayi.

Jesus christ ke haath mein bhi ye rekha thi jiske karan unhhe purbhabhaas hota tha aur jewish prophet elijah jo sabse rehasyamay dharmguru the jo bible ko apna hatiyaar banaya. Elisha naam ke bicharak ne to king aram ko haraya israeli sena ko khabar dekar pehle hi.

Par yeh gyaat bhi hona chaiye ki har antargyaan rekha amit chap nahin chor shakti kyunki yeh shakti deti hain par us shakti ko paker har manushya becharak ya dharmguru nahin ban sakta kyunki kuch haato mein yeh shudh roop mein nahin payi jaati aur jinke paas ye rekha hoti hain wo jaruri nahin ki wo unka sahi dhang se ishtamal bhi kar paye.

Jo rekha asudh roop mein payi jati hain wo manushya ko sirf alp gyaan deti hain jo antar gyaan rekha ardh golakar roop lekar chandrama se boodh parvat par jaye wohi antargyaan rekha hoti hain anyatha nahi jo sidhi budh parbat par chali jaye wo sirf sehat ko darshati hain.