Tuesday 21 February 2012

Ashubidha ke liye khed hain


Har sthan par likha hota hain ashubidha ke liye khed hain. kahin nala khuda hota to kahin chamber khula hota hain jahan par likha hota hain asubidha ke liye khed hain par hum bharatiya manushya kabhi kabhi ya jyadatar  ye bhi likhna chor dete hain kyunki hume asubidha mein rehni ki adat ho gayi hain. aajkal asubidhao ka prachalan jyaada ho gaya hain kyunki asubidha hi humare bharat desh ka adhaar stambh hain kyunki asubidha se hi to hum itne kuposhan yukt sishu paida kar rahae hain kyunki humare paas subidha nahin hain unhe khilane ki, shubidha nahin hai ache garvnirodhak ki aur suvidha nahin hain ache doctor aur aspatalo ki.
Hume to chaiye bas ashubidha kyunki asubidha se hum kitna dhanuparjan kar lete hain jaise school mein admisson mein bharitya kitna kama lete hain ya koi tender paas karwana ho to kitne hi niche se upar tak tijori bhar jati hain. hum asubidha utpan karte hain.

Par jankar yeh ascharya jaroor hoga ki in ashubidhao ka labh garibi rekhake niche ke log bhi kum kuch prapt nahin kar rahe hain jitna tax sarkar madhya warg se leti hain uska jyaad bhag to bpl rekha ke niche ke log uthate hain jo yojna banti hain unka wo beja ishtamal karte hain par amir bhi kuch kam nahin hain.   jo bijli chori hoti hain aye din sab halla machate hain ki garib ya jhopri main rahne wale log bijli chori karte hain par bijli chori karne main sach maniye to amir admi sabse jyaada awal hote hain kyunki unka load jyaada hota hain

Yeh desh ashubidha ka khandar ya kahe bhandar hota ja rahan hain kyunki yahan yeh bhi ab bhul gaye hain ki gaya humari maata hain aur uska doodh kitna labhdayak hota hain sab ke liye jise aaj jehar banakar pilane mein bhi deri nahi ho rahi hain. asubidha to bank wale bhi de rahe hain interest rate ghatakar ab bank mein  paise jama kar kar bhi koi labh nahi kyunki government bank bhi interst kum deti hain kyunki government ke sabhi yojnaye thap hain. aur privante bank ka to koi bharosha nahin. Ashubidha mein jeena hain to koi bharatiyo se sikhe kyunki unhe har baat mein kehne ki adat ho gayi hain sab bhagwaan ki den hain par sach kahe hain to yeh bhagwan ki den nahin hum bharatiyo ki den hain

Yeh desh asubidha ka janak hain prachin kaal se hi kyunki use har masle mein khood ba khood apne liye ashoobidha paida karne ki adat ho gayi hain jaise jawarlal nehru ne kashmir masla UN mein prashtut kar diya jo humari apni samasya thi jise bishw samasya ghosit kar diya. Par yeh sab ashubidhae bhi choti hi nazar ayegi jab prachin kaal mein aap jayege to payenge ki bharatiya raja shri ram ke pita ne char char shadi kar ke khood ke liye ashubidha hi paida kar li kyunki kakayi ke karan raja ram ko banwaas jaan para.

Yeh ek gahan ashubidha hain jiska nirakaran karna bhartiyo ko hi dhoondna parega.