Thursday 8 May 2014

Surya grah aur surya rekha aur usme paye jaane waale chinh

Surya ek aisa grah hain jo manushya ke uthaan ka prateek hain. surya grah ko bhi paap grah kahann jata hain. jis manusha ki kundali mein paapgrah achhi jagah sthit ho to use yashasvi kahaan jaata hain. prachin kaal se kahaan gaya hain jia manushya ka surya parvart samanyata uch ho use har tarah ki such subudha aur pehchaan milti hain. jis manushya ka surya uch ho to wo apne karya chetra mein behad prasidhhi prapt karta hain. surya grah ka swami apne satya karmo se naam aur prashidhi prapt karta hain. surya grah aur surya rekha dono ko dekhne ki avashyakta hoti hain.
Surya rekha jitni saaf suthri aur sidhi jaati hain surya parvat par bina kati chati utni hi prasidhi aur sohrat ki prapti hoti hain. par haath ko parakhte samay humein yeh bhi janna chaihye ki wok is prakaar ki hain.
·         vargakaar haath mein yeh rekha sabse upukt hoti hain. is hath waala jaatak apne karm chetra mein apne karm se prasidhi pata hain. is haath wale jaatak mein ye gun hota hain ki wo apne karya ko vyavaharik roop mein la kar prasidhi paata hain. aise prasidh vyakti ka gun acharan dusre manushyo se hatkar hoti hain. wo dikhne mein bhi asadharan hote hain. vargakar haath ke manushya ki surya rekha sidhi jakar surya parvart mein agar bina kaat chaat kar gayi ho to unehe behad safalta milti hain apne karya chetra mein. Surya rekha jitn kam kati chati ho utni hi yash prapti hoti hain. vargakar haath sabse upukt haat hoti hain.

·         surya grah nukile haato mein utni phaldayak nahi hoti jitni vargakar jaatak ke haato mein.  Nukile haato wale jaatak behad kalpanasheel hote hain unme vyavaharrik budhi utni nahi hoti par phir bhi wo kalapana se apne karm chetra mein upar uth sakte hain.
aise jaatak behad sambedansheel hote hain .

·         gaath daar ungli vale jatako mein agar surya graha uch aur rekha saaf suthri ho to behad phaldayak hota hain. aise  manushya ki bishleshan chamata ascharya roop se uttam hoti hain. aise jaatak ki karmchamata atyant utam hoti hain. gaath dar anguli waale jaatak  atyant mehnati hote hain. inme surya graha ka prabhav behad uttam hota hain.

surya grah behad phal dayi hota hain jab usme nimn chinh paye jaate hain to
·         agar surya parvat par varg chinh paaye jaate hain to wo us parvart ko shakti pradaan karti hain artahhar yeh chinh is ka ghotak hain ki pratishta mein kisi tarh ki bighn aane waali hain. varg kisi parvat mein payi jaye sirf brihaspati ko chor kar to yeh gyaat hota hain ki bhabishya mein koi bighn aane wali hain.
·         trikon chinh sabse utam chinh hain agar yeh chin surya parvat par upasthit ho to manushya ki prasidhi ekdam nischit hain.
·         nakschatra chinh bhi ati uttam chinh hain surya parvart mein jab yeh chin jis stahan mein upasthit ho to us samay jaatak ka uthan nischit hain.

surya parvart jis jaatak ka uch hota hain wo military, ias aur sabhi tarah ka sarakari naukri ke uch stahan mein hote hain aur apne chetra mein prasidhi prapt karte hain. wo jis sthaan mein bhi majud ho wo akarshan ka kendr rehte hain. unka sharer atyand sundar hota hain.
surya grah ka swami media aur entertaintment ke chetra mein prasidhi prapt karta hain.


ainstine bhi surya pradhan jaatak hain unki surya parvat behad uch aur surya rekha bina kaat chaat ke surya parvat ki taraf jaati hain. arharth surya parvat aur surya rekha prasidhi ka ghotak hain

1 comment:

  1. Anda butuh angka 4d 5d 6d silahkan tlpon eyang woro manggolo di 0823,9177,2208.trimakasih

    ReplyDelete