Surya ek aisa grah hain jo manushya ke uthaan ka prateek
hain. surya grah ko bhi paap grah kahann jata hain. jis manusha ki kundali mein
paapgrah achhi jagah sthit ho to use yashasvi kahaan jaata hain. prachin kaal
se kahaan gaya hain jia manushya ka surya parvart samanyata uch ho use har
tarah ki such subudha aur pehchaan milti hain. jis manushya ka surya uch ho to
wo apne karya chetra mein behad prasidhhi prapt karta hain. surya grah ka swami
apne satya karmo se naam aur prashidhi prapt karta hain. surya grah aur surya
rekha dono ko dekhne ki avashyakta hoti hain.
Surya rekha jitni saaf suthri aur sidhi jaati hain surya
parvat par bina kati chati utni hi prasidhi aur sohrat ki prapti hoti hain. par
haath ko parakhte samay humein yeh bhi janna chaihye ki wok is prakaar ki hain.
·
vargakaar haath mein yeh rekha sabse upukt hoti
hain. is hath waala jaatak apne karm chetra mein apne karm se prasidhi pata
hain. is haath wale jaatak mein ye gun hota hain ki wo apne karya ko vyavaharik
roop mein la kar prasidhi paata hain. aise prasidh vyakti ka gun acharan dusre
manushyo se hatkar hoti hain. wo dikhne mein bhi asadharan hote hain. vargakar
haath ke manushya ki surya rekha sidhi jakar surya parvart mein agar bina kaat
chaat kar gayi ho to unehe behad safalta milti hain apne karya chetra mein.
Surya rekha jitn kam kati chati ho utni hi yash prapti hoti hain. vargakar
haath sabse upukt haat hoti hain.
·
surya grah nukile haato mein utni phaldayak nahi
hoti jitni vargakar jaatak ke haato mein.
Nukile haato wale jaatak behad kalpanasheel hote hain unme vyavaharrik
budhi utni nahi hoti par phir bhi wo kalapana se apne karm chetra mein upar uth
sakte hain.
aise jaatak behad sambedansheel hote hain .
·
gaath daar ungli vale jatako mein agar surya graha
uch aur rekha saaf suthri ho to behad phaldayak hota hain. aise manushya ki bishleshan chamata ascharya roop
se uttam hoti hain. aise jaatak ki karmchamata atyant utam hoti hain. gaath dar
anguli waale jaatak atyant mehnati hote
hain. inme surya graha ka prabhav behad uttam hota hain.
surya grah behad phal dayi hota
hain jab usme nimn chinh paye jaate hain to
·
agar surya parvat par varg chinh paaye jaate
hain to wo us parvart ko shakti pradaan karti hain artahhar yeh chinh is ka
ghotak hain ki pratishta mein kisi tarh ki bighn aane waali hain. varg kisi
parvat mein payi jaye sirf brihaspati ko chor kar to yeh gyaat hota hain ki
bhabishya mein koi bighn aane wali hain.
·
trikon chinh sabse utam chinh hain agar yeh chin
surya parvat par upasthit ho to manushya ki prasidhi ekdam nischit hain.
·
nakschatra chinh bhi ati uttam chinh hain surya
parvart mein jab yeh chin jis stahan mein upasthit ho to us samay jaatak ka
uthan nischit hain.
surya parvart jis jaatak ka uch hota hain wo
military, ias aur sabhi tarah ka sarakari naukri ke uch stahan mein hote hain
aur apne chetra mein prasidhi prapt karte hain. wo jis sthaan mein bhi majud ho
wo akarshan ka kendr rehte hain. unka sharer atyand sundar hota hain.
surya grah ka swami media aur
entertaintment ke chetra mein prasidhi prapt karta hain.
ainstine bhi surya pradhan jaatak hain unki
surya parvat behad uch aur surya rekha bina kaat chaat ke surya parvat ki taraf
jaati hain. arharth surya parvat aur surya rekha prasidhi ka ghotak hain