Friday 4 November 2011

Shanti aur Ashanti


Shanti ki khoj mein kitne manushya gaye kya hum sach mein keh sakte hain sab ko shaanti mili. Aye din manushya shanti ki khoj mein kisi na kisi dharm ki pooja karta hain par kya use sach mein shanti mil hi gayi. Kya aaj bhi yeh prithbi tanavmukt ya shaant hain.  Jo tatv sharer ke urja ka hash karta hain , jise humari  sharer ki tantrika tanra ka hash hota hain aur jise humari mashtik tatha manshik shakti ka hash hota hain us ashant vatavaran se bhi hum jitna chaye sikh sakte hain.
Kyunki vatavaran shaant ho ya ashant sab humein kuch na kuch sikhata hain. Insaan pratidin apni dincharya mein mansik tanav jhelta hain jo uske sharer ko chati pahuchati hain par kya humne yeh jane ki koshish ki ashaant vatavaran bhi labhdayak hota hain.
Adhyatam mein humne shant vatavaran par jyaada jor diya hain jisse humein chit me shaanti miti hain. Par vyavaharik jeeven mein  shaanti aur ashaanti dono ke taal mel ko jyaada jor dungi. Kyunki ashaant vatavaran mein agar jeena sikhle to hum dridh snkalpi ban sakte hain tatha apne karya ko aur nishtapurvark kar sakte hain. Kyunki shaant vatavaran mein to koi bhi karya kar sakta hain tatha chit ko shaant kar sakta hain par asli yogyata tabhi aap ki ankit hoti hain jab aap ashant vatavaran mein bhi kisi karya ko dharyapurbak aur usko nishta pradan kar sake. Ashant vatavaran ki apni yogyata hain.
jab bacha sota hain apni maa ke god mein tab wo shant hota hain par jab use bhook lagti hain to wo ashant ho jaata hain aur rone lagta hain jo uske maata pita ke liye behad ashant aur tanav yukt vatavaran hota hain par bache ke liye ye apne maata pita ya bahri vatavaran me rehne wale manushya ko apne sharer mein hone wale halchal ko batane ka ek madhyam swaroop hain. Kyunki is madhyam swaroop ko sunne ke baad uske maatapita use khana dete hain jisse uske chit ko shaanti milti hain. Isse ye gyat hota hain ki jo kisi manushya ke liye ashati hain to kisi ke liye shaanti.
Isliye shaanti aur ashaanti dono ka yogdaan hain manushya ke jeevan mein sirf shanti ko pana ya uske liye hat karna murkhtapurn hain. Kyunki hum manushya shaant aur ashant dono vatavaran mein jeene ke liye bane hain.